Saturday, April 25, 2009

Ae kalam mere saath chal...

Ae kalam mere saath chal,saath chal us waqt main...
Jab hamari aankho k aage koi parat na hua karti thi...
Jab hamari hathelia itni kadak na hua karti thi...
Jab hum papa ka haath pakad kar chalte the...
Jab hum har khilaune ko dekh kar machalte the...
Ae kalam mere saath chal saath chal us waqt main...
Jab sabse uchi jagah papa ka kandha hua karta tha...
Jab class main 1st aana sabse bada sapna hua karta tha...
Jab tiffin main hum aloo k parathe bade chaav se khate the...
Jab hum kagaz ki naav pani par tairate the...
Ae kalam mere saath chal saath chal us waqt main...
Jab hum national anthem khade hokar gaate the...
Jab hum colony ki galiyon main cycle daudate the...
Jab chot lagna chhuti ka ek bahana tha...
Jab sardiyon main sabse bada kaam subah subah nahana tha...
Ae kalam mere saath chal saath chal us waqt main...
Jab garmiyon ki chhutiyan dadi nani ki kahaniyon main gujar jaati thi...
Jab shararate karne main hume bilkul sharam nai aati thi...
Jab sanskrit ki class main hum sojaya karte the...
aur bahar khade kiye jane par shor machaya karte the...
Ae kalam mere saath chal saath chal us khoobsurat waqt main...
Jin dino ko yaad kar mujhe aaj pe taras aata hai...
Jin dino k aachal main mera bachpan samata hai...
Jin dino main apne parivar k saath raha karta tha...
Jin dino main zindagi sach main jeeya karta tha...

Friday, April 24, 2009

The emptyness...

Once i had all,had everything...
the real princess,the ruling queen...
one day i woke up,it was all gone...
now i have nothing left...
and my heart that's full of doubt,
is all i have left to show...

Thursday, April 23, 2009

Meri Pari...


Kaise un bheege kaale baadlon ko suraj se chupaun,
Kaise is narazgi ko apne bheetar samaun,
Jab dekha tha use,na socha tha...
Aisa din bhi aayega...
Samay ke jaal main phas kar,
Mera sabra bhi tadap jayega...
Aaj meri har ek asha chatpata rahi hai,
Choti se choti umeed mujhse duri bana rahi hai...
Log kehte hai yaad na kiya kar use...
Arre use main kya yaad karunga...
Jise main bhool hi nahi paya hun...
Aaj bhi woh ek ek din mujhe yaad hai,
Uski pyari hasi aur woh ehsas mere saath hai...
Suna toh maine bhi hai,
ki kisi ko sacche dil se chaho,
Toh sari kayanat aapko usse milane main lag jati hai...
Par mere liye toh meri sari kayanat hi woh hai...
Phir aise main hamare dhago ki ghath kaun bandh kar jayega...
Yeh toh woh natkhat waqt hi batayega...
Ki apni Pari k bina kaise yeh diwana jee payega..
Kaise yeh diwana jee payega...