Sunday, May 27, 2012

Male Prajati

(Warning- only people who got some appetite for humour and who get offended lesser then fulfilled promises by our government should read this)

 Ye prajati har desh main extensive matra main paayi jaati hai(reasoning- bosses are less labourers are more), iss prajati par do mahatva purna jimedari hoti hai pehli roti, kapda aur makaan aur dusri votti(biwi), shopping aur saman. Iss prajati ko badi junglee prakar ki prajati samjha jata hai par asal main yeh badi masoom hoti hai. Ye prajati on an average 7 ladkiyon ko i love you bolne ke baad ek par safalta parapt karti hai aur phir aajeevan iss ek safalta ka baith kar dukh manati hai. Iss prajati ki dukhon ko anubhav karne ki range badi small size ki hoti hai par phir bhi woh limited addition ke dukhon ki demand par bhi desh k vibhinn prakar k daroo k theeke apni daal roti chala lete hai.

Iss prajati k vibhinn prakaar hote hai, ek jo pahadon main payi jaati hai, ye sabse sukun wali prajati hoti hai uska reason ye hai ki pahadon main mahilaye jyada tarr kaam karti hai, ghar chalati hai aur phir bhi iss prajati ko SUV k size ka respect mil jata hai. Ye na toh rob jatati hai, na khet joti hai aur na hi iss par shopping karvane ka dabav hota hai(masaln aurate pahad se behed kam avsar par niche market tak aati hai..:p), isliye iss prajati ko hum kehte hai mard. Ab jaise jaise aap altitude main niche aate jayenge iss prajati ki durdashan ka latitude bhi utni gehraion ko choota jayega. Aur jitna niche aap aayenge inke aaundhe k saath inke naam badalenge aur inke kapde kaam hote jayenge masalan lungi( long and short). Iss prajati ki pareshaniyon ko aksar nazarandaaz kar diya jata hai kyunki na toh ye foeticide death ka shikar hote hai, na ye bahut saare emotions se bhare hote hai, na yeh pregnant ho sakte hai, na toh inhe dahej dene ka dukh milta hai, toh over all inke pas koi bhi cheez controversial nai hoti. Par main ek vakya se inki pareshania samjhana chahunga, ek bar mera ek dost kuch dino k liye gayab ho gaya, toh jab woh mujhe mila toh maine majakiya taur par usse pucha abe kahan gayab tha yar kahin tera rape toh nai ho gaya, ye sunte hi mano maine uski dukhti nass par haath rakh diya ho, woh bechara chota sa muh kar k bola kash yar kash, woh toh sirf kuch lucky hote hai, I am toh ever ready saala koi karta hi nahi..:P(only for those who got appetite for humour).

Ye prajati pehle apni janskhya main jyada hone ka bhoj uthati hai, phir apne jyada tough hone par jyada saman uthati hai, gharwalon ki kicks bhi literal meaning main wholesale main khati hai, murga banane ka experience uthati hai, college main ragging karvati hai, zindagi bhar jo bed se 10 baje uthe woh biwi k saath din bhar ek napkin kahridne main lagati hai, aur in sabke bawjud bhi ladies first ka naara lagati hai aur phir kahin jakar purani petrol prices ki rarity ki tarah gentlemen kehlati hai. Cinema iska ek bada karan hai, itni pareshaniyon ke baad bhi Mr. Bachchan aa kar keh dete hai "mard ko dard nai hota" aur vahan par aakar saari logicality bhad main chali jaati hai aur hamari barbadi ki gaatha chapna shuru ho jati hai.

Samay aa gaya hai ki hum iss prajati ko thoda mehtav de, thoda population ratio balance kare, female foeticide ko na mare, inko 10 baje se pehle na uthaye, shopping k liye paise mang kar le jaye, chale aao ek behtar duniya banaye...:D